Na Dagmagae Kabhi Hum Wafa Ke Raste Mein

na Dagmagae kabhi hum wafa ke raste mein

charagh hum ne jalae hawa ke raste mein

kise lagae gale aur kahan kahan Thahre

hazar ghuncha-o-gul hain saba ke raste mein

KHuda ka nam koi le to chaunk uThte hain

mile hain hum ko wo rahbar KHuda ke raste mein

kahin salasil-e-tasbih aur kahin zunnar

bichhe hain dam bahut muddaa ke raste mein

abhi wo manzil-e-fikr-o-nazar nahin aai

hai aadmi abhi jurm o saza ke raste mein

hain aaj bhi wahi dar-o-rasan wahi zindan

har ek nigah-e-rumuz-ashna ke raste mein

ye nafraton ki fasilen jahaalaton ke hisar

na rah sakenge hamari sada ke raste mein

miTa sake na koi sail-e-inqalab jinhen

wo naqsh chhoDe hain hum ne wafa ke raste mein

zamana ek sa 'jalib' sada nahin rahta

chalenge hum bhi kabhi sar uTha ke raste mein

(2287) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Dagmagae Kabhi Hum Wafa Ke Raste Mein In English By Famous Poet Habib Jalib. Na Dagmagae Kabhi Hum Wafa Ke Raste Mein is written by Habib Jalib. Read famous Poem Na Dagmagae Kabhi Hum Wafa Ke Raste Mein for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Na Dagmagae Kabhi Hum Wafa Ke Raste Mein in PDF.