Phir Dil Se Aa Rahi Hai Sada Us Gali Mein Chal

phir dil se aa rahi hai sada us gali mein chal

shayad mile ghazal ka pata us gali mein chal

kab se nahin hua hai koi sher kaam ka

ye sher ki nahin hai faza us gali mein chal

wo baam o dar wo log wo ruswaiyon ke zaKHm

hain sab ke sab aziz juda us gali mein chal

us phul ke baghair bahut ji udas hai

mujh ko bhi sath le ke saba us gali mein chal

duniya to chahti hai yunhi fasle rahen

duniya ke mashwaron pe na ja us gali mein chal

be-nur o be-asar hai yahan ki sada-e-saz

tha us sukut mein bhi maza us gali mein chal

'jalib' pukarti hain wo shola-nawaiyan

ye sard rut ye sard hawa us gali mein chal

(1878) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Dil Se Aa Rahi Hai Sada Us Gali Mein Chal In English By Famous Poet Habib Jalib. Phir Dil Se Aa Rahi Hai Sada Us Gali Mein Chal is written by Habib Jalib. Read famous Poem Phir Dil Se Aa Rahi Hai Sada Us Gali Mein Chal for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Phir Dil Se Aa Rahi Hai Sada Us Gali Mein Chal in PDF.