Gumrah Kah Ke Pahle Jo Mujhse KHafa Hue

gumrah kah ke pahle jo mujh se KHafa hue

aaKHir wo mere naqsh-e-qadam par fida hue

ab tak to zindagi se taaruf na tha koi

tum se mile to zist se bhi aashna hue

aisa nahin ki dil hi muqabil nahin raha

tir-e-nigah-e-naz bhi aksar KHata hue

meri nazar ne tum ko jamal-e-ashna kiya

mujh ko duaen do ki tum ek aaina hue

kya hoga is se baDh ke koi rabt-e-bahami

manzil hamari wo to hum un ka pata hue

ab kya bataen kis ki nigahon ki den thi

wo mai ki jis ke pite hi hum parsa hue

sunta hun ek maqam-e-ziyarat hai aaj kal

wo zindagi ka moD jahan hum juda hue

wo aa gae dawa-e-gham-e-jaan liye hue

lo aaj hum bhi qail-e-dast-e-dua hue

kab zindagi ne hum ko nawaza nahin 'hafiz'

kab hum pe bab-e-lutf-o-inayat na wa hue

(893) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gumrah Kah Ke Pahle Jo Mujhse KHafa Hue In English By Famous Poet Hafeez Banarasi. Gumrah Kah Ke Pahle Jo Mujhse KHafa Hue is written by Hafeez Banarasi. Read famous Poem Gumrah Kah Ke Pahle Jo Mujhse KHafa Hue for youth and Student by Hafeez Banarasi. Free Download Gumrah Kah Ke Pahle Jo Mujhse KHafa Hue in PDF.