Ye Aur Baat Ki Lahja Udas Rakhte Hain

ye aur baat ki lahja udas rakhte hain

KHizan ke git bhi apni miThas rakhte hain

kahen to kya kahen hum un ki sada-lauhi ko

jo qatilon se tarahhum ki aas rakhte hain

kisi ke samne phailain kis liye daman

tumhaare dard ki daulat jo pas rakhte hain

unhen hayat ki tohmat na do abas yaro

jo apna jism na apna libas rakhte hain

qarib-e-gul-badnan rah chuke hain diwane

ye KHar wo hain jo phulon ki bas rakhte hain

kahan bhigoe koi apne KHushk honTon ko

ye daur wo hai ki dariya bhi pyas rakhte hain

KHuda ka shukr ada kije KHush-nasibi par

'hafiz' aap dil-e-gham-shanas rakhte hain

(1359) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Aur Baat Ki Lahja Udas Rakhte Hain In English By Famous Poet Hafeez Banarasi. Ye Aur Baat Ki Lahja Udas Rakhte Hain is written by Hafeez Banarasi. Read famous Poem Ye Aur Baat Ki Lahja Udas Rakhte Hain for youth and Student by Hafeez Banarasi. Free Download Ye Aur Baat Ki Lahja Udas Rakhte Hain in PDF.