Aisi Bhi Kya Jaldi Pyare Jaane Milen Phir Ya Na Milen Hum

aisi bhi kya jaldi pyare jaane milen phir ya na milen hum

kaun kahega phir ye fasana baiTh bhi jao sun lo koi dam

wasl ki shirini mein pinhan hijr ki talKHi bhi hai kam kam

tum se milne ki bhi KHushi hai tum se juda hone ka bhi gham

husn-o-ishq juda hote hain jaane kya tufan uThega

husn ki aankhen bhi hain pur-nam ishq ki aankhen bhi hain pur-nam

meri wafa to nadani thi tum ne magar ye kya Thani thi

kash na karte mujh se mohabbat kash na hota dil ka ye aalam

parwane ki KHak pareshan shama ki lau bhi larzan larzan

mahfil ki mahfil hai viran kaun kare ab kis ka matam

kuchh bhi ho par in aankhon ne akasr ye aalam bhi dekha

ishq ki duniya naz-e-sarapa husn ki duniya ijz-e-mujassam

shahd-shikan honTon ki larzish ishrat baqi ka gahwara

daera-e-imkan-e-tamanna narm lachakti banhon ke KHam

apne apne dil ke hathon donon hi barbaad hue hain

main hun aur wafa ka rona wo hain aur jafa ka matam

nakaami si nakaami hai mahrumi si mahrumi hai

dil ka manana sai-e-musalsal un ko bhulana koshish-e-paiham

ahd-e-wafa hai aur bhi mohkam teri judai ke main qurban

teri judai ke main qurban ahd-e-wafa hai aur bhi mohkam

(923) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aisi Bhi Kya Jaldi Pyare Jaane Milen Phir Ya Na Milen Hum In English By Famous Poet Hafeez Hoshiarpuri. Aisi Bhi Kya Jaldi Pyare Jaane Milen Phir Ya Na Milen Hum is written by Hafeez Hoshiarpuri. Read famous Poem Aisi Bhi Kya Jaldi Pyare Jaane Milen Phir Ya Na Milen Hum for youth and Student by Hafeez Hoshiarpuri. Free Download Aisi Bhi Kya Jaldi Pyare Jaane Milen Phir Ya Na Milen Hum in PDF.