Ab Koi Aarzu Nahin Zauq-e-payam Ke Siwa

ab koi aarzu nahin zauq-e-payam ke siwa

ab koi justuju nahin shauq-e-salam ke siwa

koi sharik-e-gham nahin ab teri yaad ke baghair

koi anis-e-dil nahin ab tere nam ke siwa

teri nigah-e-mast se mujh pe ye raaz khul gaya

aur bhi gardishen hain kuchh gardish-e-jam ke siwa

KHwahish-e-arzu sahi hasil-e-zindagi magar

hasil-e-arzu hai kya soz-e-mudam ke siwa

aah koi na kar saka chaara-e-talKHi-e-firaq

nala-e-subh ke baghair giriya-e-sham ke siwa

rang-e-bahaar par na bhul bu-e-chaman se dar-guzar

ye bhi hain KHush-numa fareb dana-o-dam ke siwa

mar ke hayat-e-jawidan ishq ko mil gai 'hafiz'

ji ke hawas ko kya mila marg-e-dawam ke siwa

(931) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Koi Aarzu Nahin Zauq-e-payam Ke Siwa In English By Famous Poet Hafeez Hoshiarpuri. Ab Koi Aarzu Nahin Zauq-e-payam Ke Siwa is written by Hafeez Hoshiarpuri. Read famous Poem Ab Koi Aarzu Nahin Zauq-e-payam Ke Siwa for youth and Student by Hafeez Hoshiarpuri. Free Download Ab Koi Aarzu Nahin Zauq-e-payam Ke Siwa in PDF.