Aaj Unhen Kuchh Is Tarah Ji Khol Kar Dekha Kiye

aaj unhen kuchh is tarah ji khol kar dekha kiye

ek hi lamhe mein jaise umr-bhar dekha kiye

dil agar betab hai dil ka muqaddar hai yahi

jis qadar thi hum ko taufiq-e-nazar dekha kiye

KHud-faroshana ada thi meri surat dekhna

apne hi jalwe ba-andaz-e-digar dekha kiye

na-shanas-e-gham faqat dad-e-hunar dete rahe

hum mata-e-gham ko ruswa-e-hunar dekha kiye

dekhne ka ab ye aalam hai koi ho ya na ho

hum jidhar dekha kiye pahron udhar dekha kiye

husn ko dekha hai main ne husn ki KHatir 'hafiz'

warna sab apna hi meyar-e-nazar dekha kiye

(1046) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Unhen Kuchh Is Tarah Ji Khol Kar Dekha Kiye In English By Famous Poet Hafeez Hoshiarpuri. Aaj Unhen Kuchh Is Tarah Ji Khol Kar Dekha Kiye is written by Hafeez Hoshiarpuri. Read famous Poem Aaj Unhen Kuchh Is Tarah Ji Khol Kar Dekha Kiye for youth and Student by Hafeez Hoshiarpuri. Free Download Aaj Unhen Kuchh Is Tarah Ji Khol Kar Dekha Kiye in PDF.