Phir Se Aaraish-e-hasti Ke Jo Saman Honge

phir se aaraish-e-hasti ke jo saman honge

tere jalwon hi se aabaad shabistan honge

ishq ki manzil-e-awwal pe Thaharne walo

is se aage bhi kai dasht-o-bayaban honge

tu jahan jaegi ghaarat-gar-e-hasti ban kar

hum bhi ab sath tere gardish-e-dauran honge

kis qadar saKHt hai ye tark-o-talab ki manzil

ab kabhi un se mile bhi to pasheman honge

tere jalwon se jo mahrum rahe hain ab tak

wahi aaKHir tere jalwon ke nigahban honge

ab to majbur hain par hashr ka din aane de

tujh se insaf-talab ru-e-gurezan honge

jab kabhi hum ne kiya ishq pasheman hue

zindagi hai to abhi aur pasheman honge

koi bhi gham ho gham-e-dil ki gham-e-dahr 'hafiz'

hum ba-har-haal ba-har-rang ghazal-KHwan honge

(969) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Se Aaraish-e-hasti Ke Jo Saman Honge In English By Famous Poet Hafeez Hoshiarpuri. Phir Se Aaraish-e-hasti Ke Jo Saman Honge is written by Hafeez Hoshiarpuri. Read famous Poem Phir Se Aaraish-e-hasti Ke Jo Saman Honge for youth and Student by Hafeez Hoshiarpuri. Free Download Phir Se Aaraish-e-hasti Ke Jo Saman Honge in PDF.