Nargis Pe To Ilzam Laga Be-basari Ka

nargis pe to ilzam laga be-basari ka

arbab-e-gulistan pe nahin kam-nazari ka

taufiq-e-rifaqat nahin un ko sar-e-manzil

raste mein jinhen pas raha ham-safari ka

ab KHanqah o madrasa o mai-kada hain ek

ek silsila hai qafila-e-be-KHabari ka

har naqsh hai aaina-e-nairang-e-tamasha

duniya hai ki hasil meri hairan-nazari ka

ab farsh se ta-arsh zabun-haal hai fitrat

ek marka dar-pesh hai azm-e-bashari ka

kab milti hai ye daulat-e-bedar kisi ko

aur main hun ki rona hai isi dida-wari ka

be-wasta-e-ishq bhi rang-e-ruKH-e-parwez

unwan hai farhad ki KHunin-jigari ka

aaKHir tere dar pe mujhe le aai mohabbat

dekha na gaya haal meri dar-badari ka

dil mein ho faqat tum hi tum aankhon pe na jao

aankhon ko to hai rog pareshan-nazari ka

be-pairwi-e-'mir' 'hafiz' apni rawish hai

hum par koi ilzam nahin kam-hunari ka

(1166) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nargis Pe To Ilzam Laga Be-basari Ka In English By Famous Poet Hafeez Hoshiarpuri. Nargis Pe To Ilzam Laga Be-basari Ka is written by Hafeez Hoshiarpuri. Read famous Poem Nargis Pe To Ilzam Laga Be-basari Ka for youth and Student by Hafeez Hoshiarpuri. Free Download Nargis Pe To Ilzam Laga Be-basari Ka in PDF.