Na Puchh Kyun Meri Aankhon Mein Aa Gae Aansu

na puchh kyun meri aankhon mein aa gae aansu

jo tere dil mein hai is baat par nahin aae

wafa-e-ahd hai ye pa-shikastagi to nahin

Thahar gaya ki mere ham-safar nahin aae

na chheD un ko KHuda ke liye ki ahl-e-wafa

bhaTak gae hain to phir rah par nahin aae

abhi abhi wo gae hain magar ye aalam hai

bahut dinon se wo jaise nazar nahin aae

kahin ye tark-e-mohabbat ki ibtida to nahin

wo mujh ko yaad kabhi is qadar nahin aae

ajib manzil-e-dilkash adam ki manzil hai

musafiran-e-adam lauT kar nahin aae

'hafiz' kab unhen dekha nahin ba-rang-e-digar

'hafiz' kab wo ba-rang-e-digar nahin aae

(1378) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Puchh Kyun Meri Aankhon Mein Aa Gae Aansu In English By Famous Poet Hafeez Hoshiarpuri. Na Puchh Kyun Meri Aankhon Mein Aa Gae Aansu is written by Hafeez Hoshiarpuri. Read famous Poem Na Puchh Kyun Meri Aankhon Mein Aa Gae Aansu for youth and Student by Hafeez Hoshiarpuri. Free Download Na Puchh Kyun Meri Aankhon Mein Aa Gae Aansu in PDF.