Aa Hi Gaya Wo Mujhko Lahad Mein Utarne

aa hi gaya wo mujh ko lahad mein utarne

ghaflat zara na ki mere ghaflat-shiar ne

o be-nasib din ke tasawwur se KHush na ho

chola badal liya hai shab-e-intizar ne

ab tak asir-e-dam-e-fareb-e-hayat hun

mujh ko bhula diya mere parwardigar ne

nauhagaron ko bhi hai gala baiThne ki fikr

jata hun aap apni ajal ko pukarne

dekha na karobar-e-mohabbat kabhi 'hafiz'

fursat ka waqt hi na diya karobar ne

(791) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aa Hi Gaya Wo Mujhko Lahad Mein Utarne In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Aa Hi Gaya Wo Mujhko Lahad Mein Utarne is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Aa Hi Gaya Wo Mujhko Lahad Mein Utarne for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Aa Hi Gaya Wo Mujhko Lahad Mein Utarne in PDF.