AaKHir Ek Din Shad Karoge

aaKHir ek din shad karoge

mera ghar aabaad karoge

pyar ki baaten wasl ki raaten

yaad karoge yaad karoge

kis dil se aabaad kiya tha

kis dil se barbaad karoge

main ne apni qimat kah di

tum bhi kuchh irshad karoge

zar ke bando aql ke andho

tum kya mujh ko shad karoge

jab mujh ko chup lag jaegi

phir tum bhi fariyaad karoge

aur tumhein aata hi kya hai

koi sitam ijad karoge

tang aa kar ai banda-parwar

bande ko aazad karoge

mere dil mein basne walo

tum mujh ko barbaad karoge

husn ko ruswa kar ke marunga

aaKHir tum kya yaad karoge

hashr ke din ummid hai naseh

tum meri imdad karoge

(900) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

AaKHir Ek Din Shad Karoge In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. AaKHir Ek Din Shad Karoge is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem AaKHir Ek Din Shad Karoge for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download AaKHir Ek Din Shad Karoge in PDF.