Aane Wale Jaane Wale Har Zamane Ke Liye

aane wale jaane wale har zamane ke liye

aadmi mazdur hai rahen banane ke liye

zindagi firdaus-e-gum-gashta ko pa sakti nahin

maut hi aati hai ye manzil dikhane ke liye

meri peshani pe ek sajda to hai likkha hua

ye nahin malum hai kis aastane ke liye

un ka wada aur mujhe us par yaqin ai ham-nashin

ek bahana hai taDapne tilmilane ke liye

jab se pahra zabt ka hai aansuon ki fasl par

ho gain muhtaj aankhen dane dane ke liye

aaKHiri ummid waqt-e-naza un ki did thi

maut ko bhi mil gaya fiqara na aane ke liye

allah allah dost ko meri tabahi par ye naz

su-e-dushman dekhta hai dad pane ke liye

neamat-e-gham mera hissa mujh ko de de ai KHuda

jama rakh meri KHushi sare zamane ke liye

nusKHa-e-hasti mein ibrat ke siwa kya tha 'hafiz'

surKHiyan kuchh mil gain apne fasane ke liye

(1085) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aane Wale Jaane Wale Har Zamane Ke Liye In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Aane Wale Jaane Wale Har Zamane Ke Liye is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Aane Wale Jaane Wale Har Zamane Ke Liye for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Aane Wale Jaane Wale Har Zamane Ke Liye in PDF.