Chale The Hum Ki Sair-e-gulshan-e-ijad Karte Hain

chale the hum ki sair-e-gulshan-e-ijad karte hain

ki itne mein ajal aa kar pukari yaad karte hain

hujum-e-arzu se shahr-e-dil aabaad karte hain

hum apni KHak apne hath se barbaad karte hain

taraf-dari na kar insaf kar ai dawar-e-mahshar

saza de in buton ko warna hum fariyaad karte hain

kabhi to rang laega kabhi to gul khilaega

hum apna KHun sarf-e-gulshan-e-ijad karte hain

hamein to kar-pardazan-e-qudarat khel samjhe hain

kabhi aabaad karte hain kabhi barbaad karte hain

kisi ummid par zinda rahun ya ghuT ke mar jaun

wo kya kahte hain ai qasid wo kya irshad karte hain

'hafiz' apni tabiat par mujhe KHud rashk aata hai

mere ashaar par hazrat hamesha sad karte hain

(810) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chale The Hum Ki Sair-e-gulshan-e-ijad Karte Hain In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Chale The Hum Ki Sair-e-gulshan-e-ijad Karte Hain is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Chale The Hum Ki Sair-e-gulshan-e-ijad Karte Hain for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Chale The Hum Ki Sair-e-gulshan-e-ijad Karte Hain in PDF.