Dil Abhi Tak Jawan Hai Pyare

dil abhi tak jawan hai pyare

kis musibat mein jaan hai pyare

tu mere haal ka KHayal na kar

is mein bhi ek shan hai pyare

talKH kar di hai zindagi jis ne

kitni miThi zaban hai pyare

waqt kam hai na chheD hijr ki baat

ye baDi dastan hai pyare

jaane kya kah diya tha roz-e-azal

aaj tak imtihan hai pyare

hum hain bande magar tere bande

ye hamari bhi shan hai pyare

nam hai is ka naseh-e-mushfiq

ye mera mehrban hai pyare

kab kiya main ne ishq ka dawa

tera apna guman hai pyare

main tujhe bewafa nahin kahta

dushmanon ka bayan hai pyare

sari duniya ko hai ghalat-fahmi

mujh pe to mehrban hai pyare

tere kuche mein hai sukun warna

har zamin aasman hai pyare

KHair fariyaad be-asar hi sahi

zindagi ka nishan hai pyare

sharm hai ehtiraaz hai kya hai

parda sa darmiyan hai pyare

arz-e-matlab samajh ke ho na KHafa

ye to ek dastan hai pyare

jang chhiD jae hum agar kah den

ye hamari zaban hai pyare

(1057) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Abhi Tak Jawan Hai Pyare In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Dil Abhi Tak Jawan Hai Pyare is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Dil Abhi Tak Jawan Hai Pyare for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Dil Abhi Tak Jawan Hai Pyare in PDF.