Hum Hi Mein Thi Na Koi Baat Yaad Na Tumko Aa Sake

hum hi mein thi na koi baat yaad na tum ko aa sake

tum ne hamein bhula diya hum na tumhein bhula sake

tum hi na sun sake agar qissa-e-gham sunega kaun

kis ki zaban khulegi phir hum na agar suna sake

hosh mein aa chuke the hum josh mein aa chuke the hum

bazm ka rang dekh kar sar na magar uTha sake

raunaq-e-bazm ban gae lab pe hikayaten rahin

dil mein shikayaten rahin lab na magar hila sake

shauq-e-visal hai yahan lab pe sawal hai yahan

kis ki majal hai yahan hum se nazar mila sake

aisa ho koi nama-bar baat pe kan dhar sake

sun ke yaqin kar sake ja ke unhen suna sake

ijz se aur baDh gai barhami-e-mizaj-e-dost

ab wo kare ilaj-e-dost jis ki samajh mein aa sake

ahl-e-zaban to hain bahut koi nahin hai ahl-e-dil

kaun teri tarah 'hafiz' dard ke git ga sake

(1588) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Hi Mein Thi Na Koi Baat Yaad Na Tumko Aa Sake In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Hum Hi Mein Thi Na Koi Baat Yaad Na Tumko Aa Sake is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Hum Hi Mein Thi Na Koi Baat Yaad Na Tumko Aa Sake for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Hum Hi Mein Thi Na Koi Baat Yaad Na Tumko Aa Sake in PDF.