Hayat-e-jawedan Wale Ne Mara

hayat-e-jawedan wale ne mara

zaban de kar zaban wale ne mara

bashar ko is qafas mein tang kar ke

zamin o aasman wale ne mara

nigahen kaam deti hain na rahen

makan o la-makan wale ne mara

gawara hai dawami talKH-kaami

kisi miThi zaban wale ne mara

nasihat-gar ko samjhao KHudara

ki is sud-o-ziyan wale ne mara

koi had bhi hai taslim-o-raza ki

musalsal imtihan wale ne mara

wo dil mein hai dil aankhon mein nihan hai

nishan de kar nishan wale ne mara

su-e-manzil liye jata hai zalim

hamein is karwan wale ne mara

hamesha ke liye KHamosh ho kar

nai tarz-e-fughan wale ne mara

mujhe kam-zarf kahlana paDega

mata-e-do-jahan wale ne mara

(1061) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hayat-e-jawedan Wale Ne Mara In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Hayat-e-jawedan Wale Ne Mara is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Hayat-e-jawedan Wale Ne Mara for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Hayat-e-jawedan Wale Ne Mara in PDF.