Hairan Na Ho Dekh Main Kya Dekh Raha Hun

hairan na ho dekh main kya dekh raha hun

bande teri surat mein KHuda dekh raha hun

wo apni jafaon ka asar dekh rahe hain

main mani-e-taslim-o-raza dekh raha hun

duzdida nigahon se kidhar dekh rahe ho

kya baat hai! ye aaj main kya dekh raha hun

hai husn yahi shai to guman aur na kije

sauda nahin matlub zara dekh raha hun

kis tarah na qail hun dua-e-sahari ka

us lab pe tabassum ki ziya dekh raha hun

kyun arz-e-watan tang hai ye baat hi kya hai

ab to faqat ek qabr ki ja dekh raha hun

mar jaane ki dhamki hui tamhid-e-tamasha

main ne kaha dekh us ne kaha dekh raha hun

(1461) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hairan Na Ho Dekh Main Kya Dekh Raha Hun In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Hairan Na Ho Dekh Main Kya Dekh Raha Hun is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Hairan Na Ho Dekh Main Kya Dekh Raha Hun for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Hairan Na Ho Dekh Main Kya Dekh Raha Hun in PDF.