Hai Azal Ki Is Ghalat BaKHshi Pe Hairani Mujhe

hai azal ki is ghalat baKHshi pe hairani mujhe

ishq la-fani mila hai zindagi fani mujhe

main wo basti hun ki yaad-e-raftagan ke bhes mein

dekhne aati hai ab meri hi virani mujhe

thi yahi tamhid mere matami anjam ki

phul hanste hain to hoti hai pashimani mujhe

husn be-parda hua jata hai ya rab kya karun

ab to karni hi paDi dil ki nigahbani mujhe

bandh kar roz-e-azal shiraaza-e-marg-o-hayat

saunp di goya do aalam ki pareshani mujhe

puchhta phirta tha danaon se ulfat ke rumuz

yaad ab rah rah ke aati hai wo nadani mujhe

(1280) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Azal Ki Is Ghalat BaKHshi Pe Hairani Mujhe In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Hai Azal Ki Is Ghalat BaKHshi Pe Hairani Mujhe is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Hai Azal Ki Is Ghalat BaKHshi Pe Hairani Mujhe for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Hai Azal Ki Is Ghalat BaKHshi Pe Hairani Mujhe in PDF.