Ek Bar Phir Watan Mein Gaya Ja Ke Aa Gaya

ek bar phir watan mein gaya ja ke aa gaya

laKHt-e-jigar ko KHak mein dafna ke aa gaya

har ham-safar pe KHizr ka dhoka hua mujhe

aab-e-baqa ki rah se katra ke aa gaya

hur-e-lahad ne chhin liya tujh ko aur main

apna sa munh liye hue sharma ke aa gaya

dil le gaya mujhe teri turbat pe bar bar

aawaz de ke baiTh ke ukta ke aa gaya

roya ki tha jahez tera wajib-ul-ada

meinh motiyon ka qabr pe barsa ke aa gaya

meri bisat kya thi huzur-e-raza-e-dost

tinka sa ek samne dariya ke aa gaya

ab ke bhi ras aai na hubb-e-watan 'hafiz'

ab ke bhi ek tir-e-qaza kha ke aa gaya

(1201) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Bar Phir Watan Mein Gaya Ja Ke Aa Gaya In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Ek Bar Phir Watan Mein Gaya Ja Ke Aa Gaya is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Ek Bar Phir Watan Mein Gaya Ja Ke Aa Gaya for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Ek Bar Phir Watan Mein Gaya Ja Ke Aa Gaya in PDF.