Kal Zarur Aaoge Lekin Aaj Kya Karun

kal zarur aaoge lekin aaj kya karun

baDh raha hai qalb ka iKHtilaj kya karun

kya karun koi nahin ehtiyaj dost ko

aur mujh ko dost ki ehtiyaj kya karun

ab wo fikrmand hain kah diya tabib ne

ishq hai junun nahin main ilaj kya karun

ghairat-e-raqib ka shikwa kar rahe ho tum

is muamle mein saKHt hai mizaj kya karun

ma-siwa-e-ashiqi aur kuchh kiya bhi ho

sujhta hi kuchh nahin kaam-kaj kya karun

mahw-e-kar-e-den hun main boriya-nashin hun main

rahzan nahin hun main taKHt-o-taj kya karun

zor aur zar baghair ishq kya karun 'hafiz'

chal gaya hai mulk mein ye riwaj kya karun

(1044) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kal Zarur Aaoge Lekin Aaj Kya Karun In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Kal Zarur Aaoge Lekin Aaj Kya Karun is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Kal Zarur Aaoge Lekin Aaj Kya Karun for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Kal Zarur Aaoge Lekin Aaj Kya Karun in PDF.