Kam-baKHt Dil Bura Hua Teri Aah Aah Ka

kam-baKHt dil bura hua teri aah aah ka

husn-e-nigah bhi na raha gah gah ka

chheDo na miThi nind mein ai munkar-o-nakir

sone do bhai main thaka-manda hun rah ka

mere muqallidon ko meri rah-e-shauq mein

har gam par nishan mila sajda-gah ka

dil sa gawah hashr mein aa kar phisal gaya

ab rahm par muamla hai dad-KHwah ka

kis munh se kah rahe ho hamein kuchh gharaz nahin

kis munh se tum ne wada kiya tha nibah ka

dil lene wali baat isi dil se pochhiye

malik yahi hai mere safed o siyah ka

pesh-e-KHuda chalo to maza jab hai ai 'hafiz'

nara ho lab pe ashhado-an-la-ilah ka

(890) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kam-baKHt Dil Bura Hua Teri Aah Aah Ka In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Kam-baKHt Dil Bura Hua Teri Aah Aah Ka is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Kam-baKHt Dil Bura Hua Teri Aah Aah Ka for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Kam-baKHt Dil Bura Hua Teri Aah Aah Ka in PDF.