Koi Dawa Na De Sake Mashwara-e-dua Diya

koi dawa na de sake mashwara-e-dua diya

chaaragaron ne aur bhi dard dil ka baDha diya

donon ko de ke suraten sath hi aaina diya

ishq bisorne laga husn ne muskura diya

zauq-e-nigah ke siwa shauq-e-gunah ke siwa

mujh ko buton se kya mila mujh ko KHuda ne kya diya

thi na KHizan ki rok-tham daman-e-iKHtiyar mein

hum ne bhari bahaar mein apna chaman luTa diya

husn-e-nazar ki aabru sanat-e-barhaman se hai

jis ko sanam bana liya us ko KHuda bana diya

dagh hai mujh pe ishq ka mera gunah bhi to dekh

us ki nigah bhi to dekh jis ne ye gul khila diya

ishq ki mamlikat mein hai shorish-e-aql-e-na-murad

ubhra kahin jo ye fasad dil ne wahin daba diya

naqsh-e-wafa to main hi tha ab mujhe DhunDte ho kya

harf-e-ghalat nazar paDa tum ne mujhe miTa diya

KHubs-e-darun dikha diya har dahan-e-ghaliz ne

kuchh na kaha 'hafiz' ne hans diya muskura diya

(1354) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Dawa Na De Sake Mashwara-e-dua Diya In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Koi Dawa Na De Sake Mashwara-e-dua Diya is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Koi Dawa Na De Sake Mashwara-e-dua Diya for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Koi Dawa Na De Sake Mashwara-e-dua Diya in PDF.