Kyun Hijr Ke Shikwe Karta Hai Kyun Dard Ke Rone Rota Hai

kyun hijr ke shikwe karta hai kyun dard ke rone rota hai

ab ishq kiya to sabr bhi kar is mein to yahi kuchh hota hai

aaghaz-e-musibat hota hai apne hi dil ki shamat se

aankhon mein phul khilata hai talwon mein kanTe bota hai

ahbab ka shikwa kya kijiye KHud zahir o baatin ek nahin

lab upar upar hanste hain dil andar andar rota hai

mallahon ko ilzam na do tum sahil wale kya jaano

ye tufan kaun uThata hai ye kashti kaun Dubota hai

kya jaaniye ye kya khoega kya jaaniye ye kya paega

mandir ka pujari jagta hai masjid ka namazi sota hai

KHairaat ki jannat Thukra de hai shan yahi KHuddari ki

jannat se nikala tha jis ko tu us aadam ka pota hai

(2086) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun Hijr Ke Shikwe Karta Hai Kyun Dard Ke Rone Rota Hai In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Kyun Hijr Ke Shikwe Karta Hai Kyun Dard Ke Rone Rota Hai is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Kyun Hijr Ke Shikwe Karta Hai Kyun Dard Ke Rone Rota Hai for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Kyun Hijr Ke Shikwe Karta Hai Kyun Dard Ke Rone Rota Hai in PDF.