Majaz Ain-e-haqiqat Hai Ba-safa Ke Liye

majaz ain-e-haqiqat hai ba-safa ke liye

buton ko dekh raha hun magar KHuda ke liye

asar mein ho gae kyun sat aasman hael

abhi to hath uThe hi nahin dua ke liye

hua bas ek hi nale mein dam fana apna

ye taziyana tha umr-e-gurez-pa ke liye

ilahi ek gham-e-rozgar kya kam tha

ki ishq bhej diya jaan-e-mubtala ke liye

hamein to dawar-e-mahshar ko chhoDte hi bani

KHata-e-ishq na kafi hui saza ke liye

usi ko rah dikhata hun jo miTae mujhe

main hun to nur magar chashm-e-naqsh-e-pa ke liye

ye jaanta hun ki hai nisf shab magar saqi

zara si chahiye ek mard-e-parsa ke liye

ilahi tere karam se mile mai o mashuq

ab iltija hai barasti hui ghaTa ke liye

'hafiz' aazim-e-kaba hua hai jaane do

ab us pe rahm karo ai buto KHuda ke liye

(1070) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Majaz Ain-e-haqiqat Hai Ba-safa Ke Liye In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Majaz Ain-e-haqiqat Hai Ba-safa Ke Liye is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Majaz Ain-e-haqiqat Hai Ba-safa Ke Liye for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Majaz Ain-e-haqiqat Hai Ba-safa Ke Liye in PDF.