ShaiKH Ka KHauf Hamein Hashr Ka DhaDka Hum Ko

shaiKH ka KHauf hamein hashr ka dhaDka hum ko

sath hi ishq ke aazar ne mara hum ko

maut kahte hain jise zabt ka ye KHabt na ho

zindagi par bhi hai fariyaad ka dhoka hum ko

jao han jao raqibon ki muraden bar lao

rahne do rahne do nakaam-e-tamanna hum ko

hum to insan hain ai KHizr hamein marna hai

jine deta nahin fitrat ka taqaza hum ko

hai abhi dur bahut dur hamari manzil

hukm hai farsh se ta-arsh-e-mualla hum ko

wo nigah bandh gai dil mein tilism-e-ummid

nazar aati hai tamanna hi tamanna hum ko

shahr-e-ulfat mein nahin tafraqa-pardaz 'hafiz'

kahin kaba nazar aaya na kalisa hum ko

(930) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ShaiKH Ka KHauf Hamein Hashr Ka DhaDka Hum Ko In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. ShaiKH Ka KHauf Hamein Hashr Ka DhaDka Hum Ko is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem ShaiKH Ka KHauf Hamein Hashr Ka DhaDka Hum Ko for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download ShaiKH Ka KHauf Hamein Hashr Ka DhaDka Hum Ko in PDF.