Tere Dil Mein Bhi Hain Kuduraten Tere Lab Pe Bhi Hain Shikayaten

tere dil mein bhi hain kuduraten tere lab pe bhi hain shikayaten

mere doston ki nawazishen mere dushmanon ki inayaten

ye hai turfa surat-e-dosti ki nigah-o-dil hama barf hain

na wo baada hai na wo zarf hain na wo harf hain na hikayaten

yahi rabt-o-zabt-e-gham-o-alam teri rae mein kabhi KHub the

wo yahi to mere uyub the jinhen di gai thin riayaten

tere aastan se kashan kashan liye ja rahi hain kahan kahan

mere nasehon ki hidayaten tere waizon ki riwayaten

tera nam lete hi ai KHuda main sanam-kade se nikal chuka

rahen kash ta-dar-e-mustafa meri rahnuma teri aayaten

(876) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Dil Mein Bhi Hain Kuduraten Tere Lab Pe Bhi Hain Shikayaten In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Tere Dil Mein Bhi Hain Kuduraten Tere Lab Pe Bhi Hain Shikayaten is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Tere Dil Mein Bhi Hain Kuduraten Tere Lab Pe Bhi Hain Shikayaten for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Tere Dil Mein Bhi Hain Kuduraten Tere Lab Pe Bhi Hain Shikayaten in PDF.