Un Ko Jigar Ki Justuju Unki Nazar Ko Kya Karun

un ko jigar ki justuju un ki nazar ko kya karun

mujh ko nazar ki aarzu apne jigar ko kya karun

raat hi raat mein tamam tai hue umr ke maqam

ho gai zindagi ki sham ab main sahar ko kya karun

wahshat-e-dil fuzun to hai haal mera zubun to hai

ishq nahin junun to hai us ke asar ko kya karun

farsh se mutmain nahin past hai na-pasand hai

arsh bahut buland hai zauq-e-nazar ko kya karun

hae koi dawa karo hae koi dua karo

hae jigar mein dard hai hae jigar ko kya karun

ahl-e-nazar koi nahin is liye KHud-pasand hun

aap hi dekhta hun main apne hunar ko kya karun

tark-e-talluqat par gir gai barq-e-iltifat

rahguzar mein mil gae rahguzar ko kya karun

(1016) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Un Ko Jigar Ki Justuju Unki Nazar Ko Kya Karun In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Un Ko Jigar Ki Justuju Unki Nazar Ko Kya Karun is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Un Ko Jigar Ki Justuju Unki Nazar Ko Kya Karun for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Un Ko Jigar Ki Justuju Unki Nazar Ko Kya Karun in PDF.