Wafadariyan SaKHt Nadaniyan Hain

wafadariyan saKHt nadaniyan hain

ki in ke natije pashemaniyan hain

pashemaniyan hain gunahon pe lekin

baDe hi maze ki pashemaniyan hain

meri zindagi par tajjub nahin tha

meri maut par un ko hairaniyan hain

mohabbat karo aur nibaho to puchhun

ye dushwariyan hain ki aasaniyan hain

nadamat hui hashr mein jin ke badle

jawani ki do chaar nadaniyan hain

mera tajraba hai ki is zindagi mein

pareshaniyan hi pareshaniyan hain

(1284) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Wafadariyan SaKHt Nadaniyan Hain In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Wafadariyan SaKHt Nadaniyan Hain is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Wafadariyan SaKHt Nadaniyan Hain for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Wafadariyan SaKHt Nadaniyan Hain in PDF.