Wo Abr Jo Mai-KHwar Ki Turbat Pe Na Barse

wo abr jo mai-KHwar ki turbat pe na barse

kah do ki KHudara kabhi guzre na idhar se

itna to hua aah shab-e-gham ke asar se

fitrat ka jigar phuT baha chashm-e-sahar se

ummid ne bhi yas ke murdon ko pukara

aai koi aawaz na dil se na jigar se

naseh ko bulao mera iman sambhaale

phir dekh liya us ne usi ek nazar se

KHurshid-e-qayamat ki ada dekh raha hun

milti hui surat hai mere dagh-e-jigar se

ek ek qadam par hai jahan KHanda-e-taqdir

tadbir guzarti hai usi rahguzar se

ai KHanda-e-gulshan ye hai anjam-e-shab-e-aish

gul rote hain na munh Dhanp ke daman-e-sahar se

kuchh shan-e-karimi ne is andaz se taula

bhaari hi raha dida-e-tar daman-e-tar se

KHatre mein hain kuchh din se 'hafiz' ahl-e-do-alam

har shab mere nalon ki laDai hai asar se

(1008) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Abr Jo Mai-KHwar Ki Turbat Pe Na Barse In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Wo Abr Jo Mai-KHwar Ki Turbat Pe Na Barse is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Wo Abr Jo Mai-KHwar Ki Turbat Pe Na Barse for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Wo Abr Jo Mai-KHwar Ki Turbat Pe Na Barse in PDF.