Wo SarKHushi De Ki Zindagi Ko Shabab Se Bahara-yab Kar De

wo sarKHushi de ki zindagi ko shabab se bahara-yab kar de

mere KHayalon mein rang bhar de mere lahu ko sharab kar de

haqiqaten aashkar kar de sadaqaten be-hijab kar de

har ek zarra ye kah raha hai ki aa mujhe aaftab kar de

ye KHwab kya hai ye zisht kya hai jahan ki asli sirisht kya hai

baDa maza ho tamam chehre agar koi be-naqab kar de

kaho to raaz-e-hayat kah dun haqiqat-e-kaenat kah dun

wo baat kah dun ki pattharon ke jigar ko bhi aab aab kar de

KHilaf-e-taqdir kar raha hun phir ek taqsir kar raha hun

phir ek tadbir kar raha hun KHuda agar kaamyab kar de

tere karam ke muamle ko tere karam hi pe chhoDta hun

meri KHataen shumar kar le meri saza ka hisab kar de

'hafiz' sab se baDi KHarabi hai ishq mein lutf-e-kaam-yabi

kisi ki duniya tabah kar de kisi ki uqba KHarab kar de

(1096) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo SarKHushi De Ki Zindagi Ko Shabab Se Bahara-yab Kar De In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Wo SarKHushi De Ki Zindagi Ko Shabab Se Bahara-yab Kar De is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Wo SarKHushi De Ki Zindagi Ko Shabab Se Bahara-yab Kar De for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Wo SarKHushi De Ki Zindagi Ko Shabab Se Bahara-yab Kar De in PDF.