Ye Aur Daur Hai Ab Aur Kuchh Na Farmae

ye aur daur hai ab aur kuchh na farmae

magar 'hafiz' ko ye baat kaun samjhae

wafa ka josh to karta chala gaya madhosh

qadam qadam pe mujhe dost hosh mein lae

pari-ruKHon ki zaban se kalam sun ke mera

bahut se log meri shakl dekhne aae

bahisht mein bhi mila hai mujhe azab-e-shadid

yahan bhi maulwi-sahab hain mere ham-sae

azab-e-qabr se bad-tar sahi hayat-e-'hafiz'

ye jabr hai to ba-juz-sabr kya kiya jae

(1259) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Aur Daur Hai Ab Aur Kuchh Na Farmae In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Ye Aur Daur Hai Ab Aur Kuchh Na Farmae is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Ye Aur Daur Hai Ab Aur Kuchh Na Farmae for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Ye Aur Daur Hai Ab Aur Kuchh Na Farmae in PDF.