Ye Kya Maqam Hai Wo Nazare Kahan Gae

ye kya maqam hai wo nazare kahan gae

wo phul kya hue wo sitare kahan gae

yaran-e-bazm jurat-e-rindana kya hui

un mast ankhDiyon ke ishaare kahan gae

ek aur daur ka wo taqaza kidhar gaya

umDe hue wo hosh ke dhaare kahan gae

uftad kyun hai laghzish-e-mastana kyun nahin

wo uzr-e-mai-kashi ke sahaare kahan gae

dauran-e-zalzala jo panah-e-nigah the

leTe hue the panw pasare kahan gae

bandha tha kya hawa pe wo ummid ka tilism

rangini-e-nazar ke ghubare kahan gae

uTh uTh ke baiTh baiTh chuki gard rah ki

yaro wo qafile thake haare kahan gae

har mir-e-karwan se mujhe puchhna paDa

sathi tere kidhar ko sidhaare kahan gae

farma gae the rah mein baiTh intizar kar

aae nahin palaT ke wo pyare kahan gae

tum se bhi jin ka ahd-e-wafa ustuwar tha

ai dushmanon wo dost hamare kahan gae

kashti nai bani ki uTha le gaya koi

taKHte jo lag gae the kinare kahan gae

ab Dubton se puchhta phirta hai naKHuda

jin ko laga chuka hun kinare kahan gae

betab tere dard se the chaaragar 'hafiz'

kya jaaniye wo dard ke mare kahan gae

(1139) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kya Maqam Hai Wo Nazare Kahan Gae In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Ye Kya Maqam Hai Wo Nazare Kahan Gae is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Ye Kya Maqam Hai Wo Nazare Kahan Gae for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Ye Kya Maqam Hai Wo Nazare Kahan Gae in PDF.