Iqbaal Ke Mazar Par

lahad mein so rahi hai aaj be-shak musht-e-KHak us ki

magar garm-e-amal hai jagti hai jaan-e-pak us ki

wo ek fani bashar tha main ye bawar kar nahin sakta

bashar iqbaal ho jae to hargiz mar nahin sakta

ba-zer-e-saya-e-diwar-e-masjid hai jo aasuda

ye KHaki jism hai sattar baras ka rah paimuda

ye KHaki jism bhi us ka bahut hi besh-qimat tha

jise ham-jalwa samjhe the wo parda bhi ghanimat tha

use hum napte the le ke aankhon hi ka paimana

ghazal-KHwan us ko jaana hum ne shair us ko gardana

faqat surat hi dekhi us ke mani hum nahin samjhe

na dekha rang-e-taswir aaine ko dil-nashin samjhe

hamein zof-e-basarat se kahan thi tab-e-nazzara

sikhae us ke parde ne hamein aadab-e-nazzara

ye naghma kya hai zer-e-parda-ha-e-saz kam samjhe

rahe sab gosh-bar-awaz lekin raaz kam samjhe

shikast-e-paikar-e-mahsus ne toDa hijab aaKHir

tulu-e-subh-e-mahshar ban ke chamka aaftab aaKHir

muqayyad ab nahin 'iqbaal' apne jism-e-fani mein

nahin wo band hail aaj dariya ki rawani mein

wajud-e-marg ki qael nahin thi zindagi us ki

taala allah ab dekhe koi paindagi us ki

jise hum murda samjhe zinda tar painda tar nikla

mah o KHurshid se zarre ka dil tabinda tar nikla

abhi andaza ho sakta nahin us ki bulandi ka

abhi duniya ki aankhon par hai parda firqa-bandi ka

magar meri nigahon mein hain chehre un jawanon ke

jinhen 'iqbaal' ne baKHshe hain bazu qahar-manon ke

(1341) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Iqbaal Ke Mazar Par In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Iqbaal Ke Mazar Par is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Iqbaal Ke Mazar Par for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Iqbaal Ke Mazar Par in PDF.