Fursat Ki Tamanna Mein

yun waqt guzarta hai

fursat ki tamanna mein

jis tarah koi patta

bahta hua dariya mein

sahil ke qarib aa kar

chahe ki Thahar jaun

aur sair zara kar lun

us aks-e-moshajjar ki

jo daman-e-dariya par

zebaish-e-dariya hai

ya baad ka wo jhonka

jo waqf-e-rawani hai

ek bagh ke goshe mein

chahe ki yahan dam lun

daman ko zara bhar lun

us phul ki KHushbu se

jis ko abhi khilna hai

fursat ki tamanna mein

yun waqt guzarta hai

afkar maishat ke

fursat hi nahin dete

main chahta hun dil se

kuchh kasb-e-hunar kar lun

gul-ha-e-mazamin se

daman-e-suKHan bhar lun

hai baKHt magar wazhun

fursat hi nahin milti

fursat ko kahan DhunDun

fursat hi ka rona hai

phir ji mein ye aati hai

kuchh aish hi hasil ho

daulat hi mile mujh ko

wo kaam koi sochun

phir sochta ye bhi hun

ye sochne ka dhanda

fursat hi mein hona hai

fursat hi nahin dete

afkar maishat ke

(1567) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fursat Ki Tamanna Mein In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Fursat Ki Tamanna Mein is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Fursat Ki Tamanna Mein for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Fursat Ki Tamanna Mein in PDF.