BaiTh Jata Hun Jahan Chhanw Ghani Hoti Hai

baiTh jata hun jahan chhanw ghani hoti hai

hae kya chiz gharib-ul-watani hoti hai

nahin marte hain to iza nahin jheli jati

aur marte hain to paiman-shikani hoti hai

din ko ek nur barasta hai meri turbat par

raat ko chadar-e-mahtab tani hoti hai

tum bichhaDte ho jo ab karb na ho wo kam hai

dam nikalta hai to aaza-shikani hoti hai

zinda dar-gor hum aise jo hain marne wale

jite-ji un ke gale mein kafni hoti hai

rut badalte hi badal jati hai niyyat meri

jab bahaar aati hai tauba-shikani hoti hai

ghair ke bas mein tumhein sun ke ye kah uThta hun

aisi taqdir bhi allah ghani hoti hai

na baDhe baat agar khul ke karen wo baaten

bais-e-tul-e-suKHan kam-suKHani hoti hai

luT gaya wo tere kuche mein dhara jis ne qadam

is tarah ki bhi kahin rahzani hoti hai

husn walon ko zid aa jae KHuda ye na kare

kar guzarte hain jo kuchh ji mein Thani hoti hai

hijr mein zahr hai saghar ka lagana munh se

mai ki jo bund hai hire ki kani hoti hai

mai-kashon ko na kabhi fikr-e-kam-o-besh rahi

aise logon ki tabiat bhi ghani hoti hai

huk uThti hai agar zabt-e-fughan karta hun

sans rukti hai to barchhi ki ani hoti hai

aks ki un par nazar aaine pe un ki nigah

do kaman-daron mein nawak-fagani hoti hai

pi lo do ghunT ki saqi ki rahe baat 'hafiz'

saf inkar se KHatir-shikani hoti hai

(1307) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaiTh Jata Hun Jahan Chhanw Ghani Hoti Hai In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. BaiTh Jata Hun Jahan Chhanw Ghani Hoti Hai is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem BaiTh Jata Hun Jahan Chhanw Ghani Hoti Hai for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download BaiTh Jata Hun Jahan Chhanw Ghani Hoti Hai in PDF.