Bataun Kya Kisi Ko Main Ki Tum Kya Chiz Ho Kya Ho

bataun kya kisi ko main ki tum kya chiz ho kya ho

meri hasrat mere arman ho meri tamanna ho

mohabbat mein qalaq ho ranj ho sadma ho iza ho

ye sab kuchh ho koi parda-nashin lekin na ruswa ho

tum apne husn ki kya bul-hawas se dad paoge

use puchho mere dil se ki tum kya chiz ho kya ho

mere dil ko na mal talwon se apne mein ye Darta hun

kahin aisa na ho us mein koi KHar-e-tamanna ho

na dekhun kis tarah husn-e-KHuda-dad un hasinon ka

bhala un zahidon ki tarah kaun aankhon ka andha ho

teri taswir bhi hai bais-e-dil-bastagi lekin

use taskin kya ho jo teri baaton pe marta ho

'hafiz' aana hua hai phir azimabaad mein apna

phir agle walwale paida hue ab dekhiye kya ho

(814) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bataun Kya Kisi Ko Main Ki Tum Kya Chiz Ho Kya Ho In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Bataun Kya Kisi Ko Main Ki Tum Kya Chiz Ho Kya Ho is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Bataun Kya Kisi Ko Main Ki Tum Kya Chiz Ho Kya Ho for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Bataun Kya Kisi Ko Main Ki Tum Kya Chiz Ho Kya Ho in PDF.