Go Ye Rakhti Nahin Insan Ki Haalat Achchhi

go ye rakhti nahin insan ki haalat achchhi

phir bhi sau kaam se duniya ke mohabbat achchhi

kya wo achchha hai agar sirf hai surat achchhi

surat achchhi jo KHuda de to ho sirat achchhi

wasl mein ye jo hun bebak to nikle matlab

aise mauqe pe hasinon ki shararat achchhi

jis mein shoKHi na shararat na karishma na ada

aise mashuq se miTTi ki hai murat achchhi

dost un ka jo hai barbaad to dushman hai KHarab

lutf achchha na hasinon ki adawat achchhi

shikwa wo KHub hai jis se ho lagawaT zahir

shukr ka jis mein ho pahlu wo shikayat achchhi

na hui qadr muqaddar ki burai se 'hafiz'

kya hua aap ne pai jo tabiat achchhi

(839) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Go Ye Rakhti Nahin Insan Ki Haalat Achchhi In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Go Ye Rakhti Nahin Insan Ki Haalat Achchhi is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Go Ye Rakhti Nahin Insan Ki Haalat Achchhi for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Go Ye Rakhti Nahin Insan Ki Haalat Achchhi in PDF.