Pi Humne Bahut Sharab Tauba

pi hum ne bahut sharab tauba

ai garmi-e-aftab tauba

aalam ka ye inqalab tauba

zarre hue aaftab tauba

jis waqt tasalliyan koi de

us waqt ka iztirab tauba

aankhen jinhen dekh kar hon bimar

wo nargis-e-nim-KHwab tauba

kya mastana har ada hai

kis josh pe hai shabab tauba

kar dunga hazar main unhen band

baaton ka meri jawab tauba

har roz hi ek naya sitam hai

har waqt hai ek itab tauba

saqi tere daur mein kisi ki

hoti bhi hai mustajab tauba

aankhen shab-e-wasl bhi jhuki hain

KHalwat mein bhi ye hijab tauba

karta hai sharab mohtasib band

ye bhi hai koi sawab tauba

piri mein 'hafiz' mai-parasti

ab kijiye ai janab tauba

(762) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pi Humne Bahut Sharab Tauba In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Pi Humne Bahut Sharab Tauba is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Pi Humne Bahut Sharab Tauba for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Pi Humne Bahut Sharab Tauba in PDF.