Shab-e-visal Ye Kahte Hain Wo Suna Ke Mujhe

shab-e-visal ye kahte hain wo suna ke mujhe

kisi ne luT liya apne ghar bula ke mujhe

pukarta nahin koi lahad par aa ke mujhe

mere nasib bhi kya so rahe sula ke mujhe

wo bole wasl ke shab aap mein na pa ke mujhe

chale gae hain kahan apne ghar bula ke mujhe

gira diya hai kuchh is tarah us ne aankhon se

ki dekhta nahin koi nazar uTha ke mujhe

pari thi koi chhalawa thi ya jawani thi

kahan ye ho gai champat jhalak dikha ke mujhe

tumhaari bazm mein aae to jam-e-mai mujh tak

bala se de de koi zahr hi mila ke mujhe

uTha jo bazm se un ki to rok kar ye kaha

ki le chale ho kahan dil mein tum chhupa ke mujhe

ye tere hijr ka gham tha wo tere ishq ka dagh

gaya jo kha ke mujhe jo miTa miTa ke mujhe

jahan pe jate hue mere hosh uDte hain

tera KHayal wahan le chala laga ke mujhe

mujhe hai ghash unhen hairat ajib aalam hai

main kho gaya hun unhen dekh kar wo pa ke mujhe

meri nigah mein phirti hai meri maut ki shakl

jab aap dekhte hain tewriyan chaDha ke mujhe

na dekho aaina dekho mera kaha mano

dikhao ghair ko surat na munh dikha ke mujhe

taDap le dil ki ye kah kah ke koi aata hai

biTha diya hai lahad mein uTha uTha ke mujhe

gale laga de karun pyar teri tegh ko main

ki yaad aae karishme teri ada ke mujhe

ye mere rone pe hansti hai kyun meri taqdir

wo apne dil mein to kuDhte nahin rula ke mujhe

jo miTTi di hai to ab fatiha bhi paDhte jao

kuchh ab sawab bhi lo KHak mein mila ke mujhe

'hafiz' hashr mein kar hi chuka tha main fariyaad

ki us ne DanT diya samne se aa ke mujhe

(714) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab-e-visal Ye Kahte Hain Wo Suna Ke Mujhe In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Shab-e-visal Ye Kahte Hain Wo Suna Ke Mujhe is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Shab-e-visal Ye Kahte Hain Wo Suna Ke Mujhe for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Shab-e-visal Ye Kahte Hain Wo Suna Ke Mujhe in PDF.