Shab-e-wasl Hai Bahs Hujjat Abas

shab-e-wasl hai bahs hujjat abas

ye shikwe abas ye shikayat abas

hua un ko kab e'timad-e-wafa

jatate rahe hum mohabbat abas

yahan ab to kuchh aur saman hai

wo aate hain bahr-ayaadat abas

nasibon se apne hai shikwa hamein

karen kyun kisi ki shikayat abas

mera haal sun kar wo hain be-qarar

kiya kis ne zikr-e-mohabbat abas

falak mar-miTon se na rakh ye ghubar

miTa be-kason ki na turbat abas

sununga teri hosh mein aa to lun

abhi se hai naseh nasihat abas

ye parda hasinon ko lazim na tha

chhupati hain ye achchhi surat abas

wo pahle suluk aap ke yaad hain

mere haal par ab inayat abas

takalluf mein phir wo kahan sadgi

ye aaraish-e-husn-o-zinat abas

'hafiz' is zamin mein kaho sher kam

dikhao na zor-e-tabiat abas

(860) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab-e-wasl Hai Bahs Hujjat Abas In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Shab-e-wasl Hai Bahs Hujjat Abas is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Shab-e-wasl Hai Bahs Hujjat Abas for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Shab-e-wasl Hai Bahs Hujjat Abas in PDF.