Shikwa Karte Hain Zaban Se Na Gila Karte Hain

shikwa karte hain zaban se na gila karte hain

tum salamat raho hum to ye dua karte hain

phir mere dil ke phansane ki hui hai tadbir

phir nae sar se wo paiman-e-wafa karte hain

tum mujhe hath uTha kar is ada se koso

dekhne wale ye samjhen ki dua karte hain

in hasinon ka hai duniya se nirala andaz

shoKHiyan bazm mein KHalwat mein haya karte hain

hashr ka zikr na kar us ki gali mein waiz

aise hangame yahan rose hua karte hain

lag hai hum se adu ko to adu se hamein rashk

ek hi aag mein hum donon jala karte hain

un ka shikwa na raqibon ki shikayat hai 'hafiz'

sirf hum apne muqaddar ka gila karte hain

(733) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shikwa Karte Hain Zaban Se Na Gila Karte Hain In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Shikwa Karte Hain Zaban Se Na Gila Karte Hain is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Shikwa Karte Hain Zaban Se Na Gila Karte Hain for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Shikwa Karte Hain Zaban Se Na Gila Karte Hain in PDF.