Subh Ko Aae Ho Nikle Sham Ke

subh ko aae ho nikle sham ke

jao bhi ab tum mere kis kaam ke

hatha-pai se yahi matlab bhi tha

koi munh chume kalai tham ke

tum agar chaho to kuchh mushkil nahin

Dhang sau hain nama-o-paigham ke

chheD waiz har ghaDi achchhi nahin

rind bhi hain ek apne nam ke

qahr Dhaegi asiron ki taDap

aur bhi uljhenge halqe dam ke

mohtasib chun lene de ek ek mujhe

dil ke TukDe hain ye TukDe jam ke

lakhon dhaDke ibtida-e-ishq mein

dhyan hain aaghaz mein anjam ke

mai ka fatwa to sahi qazi se lun

Tok kar raste mein daman tham ke

dur daur-e-mohtasib hai aaj-kal

ab kahan wo daur-daure jam ke

nam jab us ka zaban par aa gaya

rah gaya naseh kaleja tham ke

dur se nale mere sun kar kaha

aa gae dushman mere aaram ke

hae wo ab pyar ki baaten kahan

ab to lale hain mujhe dushnam ke

wo lagaen qahqahe sun kar 'hafiz'

aap nale kijiye dil tham ke

(759) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subh Ko Aae Ho Nikle Sham Ke In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Subh Ko Aae Ho Nikle Sham Ke is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Subh Ko Aae Ho Nikle Sham Ke for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Subh Ko Aae Ho Nikle Sham Ke in PDF.