Wasl Aasan Hai Kya Mushkil Hai

wasl aasan hai kya mushkil hai

tujh ko ye dhyan hai kya mushkil hai

waza ka dhyan hai kya mushkil hai

dost nadan hai kya mushkil hai

honT par jaan hai kya mushkil hai

mushkil aasan hai kya mushkil hai

hae diwana bana kar kahna

phir bhi ek shan hai kya mushkil hai

ab jagah chahiye wahshat ko meri

tang maidan hai kya mushkil hai

jis ko mar miT ke miTaya tha abhi

phir wahi dhyan hai kya mushkil hai

be-bulae kahin jaane ke nahin

aa paDi aan hai kya mushkil hai

hum na uThte hain na wo dete hain

hath mein pan hai kya mushkil hai

hum ko samjhae samajh naseh ki

phir ye ehsan hai kya mushkil hai

mere bad-ahd ko allah rakhe

maut aasan hai kya mushkil hai

us ne rakkha hai wo darban jis se

jaan-pahchan hai kya mushkil hai

shaiKH karta hai buton ki ghibat

phir musalman hai kya mushkil hai

husn par KHalq miTi jati hai

jo hai qurban hai kya mushkil hai

hijr mein jaan nikalti nahin aah

ye bhi arman hai kya mushkil hai

bandagi but ki KHuda ke bande

kufr iman hai kya mushkil hai

chaaragar ko hai mere fikr-e-dawa

dard hi jaan hai kya mushkil hai

bazm mein zahr ugalne ko adu

dar pe darban hai kya mushkil hai

yun to pahle bhi mohabbat thi 'hafiz'

ab to iman hai kya mushkil hai

(732) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wasl Aasan Hai Kya Mushkil Hai In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Wasl Aasan Hai Kya Mushkil Hai is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Wasl Aasan Hai Kya Mushkil Hai for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Wasl Aasan Hai Kya Mushkil Hai in PDF.