Usko Aazadi Na Milne Ka Hamein Maqdur Hai

us ko aazadi na milne ka hamein maqdur hai

hum idhar majbur hain aur wo idhar majbur hai

shab ko chhup kar aaiye aana agar manzur hai

aap ke ghar se hamara ghar hi kitni dur hai

lakh minnat ki magar ek baat bhi munh se na ki

aap ki taswir bhi kitni baDi maghrur hai

is andheri raat mein ai shaiKH pahchanega kaun

band hai masjid ka dar to mai-kada kya dur hai

ek rashk-e-ghair ka sadma to uTh sakta nahin

aur jo farmaiye sab kuchh hamein manzur hai

mar gaya dushman to us ka sog tum ko kya zarur

kaun si ye rasm hai ye kaun sa dastur hai

zahid is ummid par milna hasinon se na chhoD

KHuld mein nadan tere hi liye kya hur hai

hashr ke din kya kahenge ye agar aaya KHayal

shikwa karna yar ka pas-e-wafa se dur hai

kuchh 'hafiz' aisa nahin jis se ki tum waqif na ho

aadmi wo to bahut maruf hai mashhur hai

(818) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Usko Aazadi Na Milne Ka Hamein Maqdur Hai In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Usko Aazadi Na Milne Ka Hamein Maqdur Hai is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Usko Aazadi Na Milne Ka Hamein Maqdur Hai for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Usko Aazadi Na Milne Ka Hamein Maqdur Hai in PDF.