Ye Sab Kahne Ki Baaten Hain Ki Aisa Ho Nahin Sakta

ye sab kahne ki baaten hain ki aisa ho nahin sakta

mohabbat mein jo dil mil jae phir kya ho nahin sakta

shikayat ho nahin sakti ki shikwa ho nahin sakta

zara sa chheD de koi to phir kya ho nahin sakta

burai ka ewaz hargiz bhalai ho nahin sakti

bura kah kar kisi ko koi achchha ho nahin sakta

hamara un ka qissa log sunte hain to kahte hain

maza hai hashr tak yaksu ye jhagDa ho nahin sakta

karen teri shikayat kya ki tu ek dost hai apna

kisi dushman ka bhi hum se to shikwa ho nahin sakta

ilahi jazb-e-dil ki is kashish se baz aaya main

koi parda-nashin kahta hai parda ho nahin sakta

'hafiz' un ki ghazal hai choT kha baiThi hain jo dil par

baghair is ke suKHan mein lutf paida ho nahin sakta

(821) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Sab Kahne Ki Baaten Hain Ki Aisa Ho Nahin Sakta In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Ye Sab Kahne Ki Baaten Hain Ki Aisa Ho Nahin Sakta is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Ye Sab Kahne Ki Baaten Hain Ki Aisa Ho Nahin Sakta for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Ye Sab Kahne Ki Baaten Hain Ki Aisa Ho Nahin Sakta in PDF.