BaDe Adab Se Ghurur-e-sitam-garan Bola

baDe adab se ghurur-e-sitam-garan bola

jab inqalab ke lahje mein be-zaban bola

takoge yunhi hawaon ka munh bhala kab tak

ye na-KHudaon se ek roz baadban bola

chaman mein sab ki zaban par thi meri mazlumi

mere KHilaf jo bola to baghban bola

yahi bahut hai ki zinda to ho miyan-sahab

zamana sun ke mere gham ki dastan bola

hisar-e-jabr mein zinda badan jalae gae

kisi ne dam nahin mara magar dhuan bola

asar hua to ye taqrir ka kamal nahin

mera KHulus muKHatab tha main kahan bola

kaha na tha ki nawazenge hum 'hafiz' tujhe

uDa ke wo mere daman ki dhajjiyan bola

(1015) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaDe Adab Se Ghurur-e-sitam-garan Bola In English By Famous Poet Hafeez Merathi. BaDe Adab Se Ghurur-e-sitam-garan Bola is written by Hafeez Merathi. Read famous Poem BaDe Adab Se Ghurur-e-sitam-garan Bola for youth and Student by Hafeez Merathi. Free Download BaDe Adab Se Ghurur-e-sitam-garan Bola in PDF.