Bazm-e-takallufat Sajaane Mein Rah Gaya

bazm-e-takallufat sajaane mein rah gaya

main zindagi ke naz uThane mein rah gaya

tasir ke liye jahan tahrif ki gai

ek jhol bas wahin pe fasane mein rah gaya

sab mujh pe mohr-e-jurm lagate chale gae

main sab ko apne zaKHm dikhane mein rah gaya

KHud hadsa bhi maut pe us ki tha dam-ba-KHud

wo dusron ki jaan bachane mein rah gaya

ab ahl-e-karwan pe lagata hai tohmaten

wo ham-safar jo hile bahane mein rah gaya

maidan-e-kar-zar mein aae wo qaum kya

jis ka jawan aaina-KHane mein rah gaya

wo waqt ka jahaz tha karta lihaz kya

main doston se hath milane mein rah gaya

sunta nahin hai muft jahan baat bhi koi

main KHali hath aise zamane mein rah gaya

bazar-e-zindagi se qaza le gai mujhe

ye daur mere dam lagane mein rah gaya

ye bhi hai ek kar-e-numayan 'hafiz' ka

kya sada-lauh kaise zamane mein rah gaya

(1345) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bazm-e-takallufat Sajaane Mein Rah Gaya In English By Famous Poet Hafeez Merathi. Bazm-e-takallufat Sajaane Mein Rah Gaya is written by Hafeez Merathi. Read famous Poem Bazm-e-takallufat Sajaane Mein Rah Gaya for youth and Student by Hafeez Merathi. Free Download Bazm-e-takallufat Sajaane Mein Rah Gaya in PDF.