Aashiq Hun Main Nafrat Hai Mere Rang Ko Ru Se

aashiq hun main nafrat hai mere rang ko ru se

paiwand nahin chaak gareban ko rafu se

daman mere qatil ka na rangin ho lahu se

har-chand ki nazdik ho rag-ha-e-gulu se

gulzar-e-jahan par na paDi aankh hamari

kotah thi umr apni habab-e-lab-e-ju se

karta hai wo saffak KHat-e-shauq ke purze

mehndi mali jati hai kabutar ke lahu se

aashiq hun magar karte hain mashuq KHushamad

nazuk hai tabiat meri bimar ki KHu se

(799) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aashiq Hun Main Nafrat Hai Mere Rang Ko Ru Se In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Aashiq Hun Main Nafrat Hai Mere Rang Ko Ru Se is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Aashiq Hun Main Nafrat Hai Mere Rang Ko Ru Se for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Aashiq Hun Main Nafrat Hai Mere Rang Ko Ru Se in PDF.