Aashna Gosh Se Us Gul Ke SuKHan Hai Kis Ka

aashna gosh se us gul ke suKHan hai kis ka

kuchh zaban se kahe koi ye dahan hai kis ka

peshtar hashr se hoti hai qayamat barpa

jo chalan chalte hain KHush-qad ye chalan hai kis ka

dast-e-qudrat ne banaya hai tujhe ai mahbub

aisa Dhaala hua sanche mein badan hai kis ka

kis tarah tum se na mangen tumhin insaf karo

bosa lene ka saza-war dahan hai kis ka

shadi-e-marg se phula main samane ka nahin

gor kahte hain kise nam kafan hai kis ka

dahan-e-tang hai mauhum yaqin hai kis ko

kamar-e-yar hai madum ye zan hai kis ka

mufside jo ki hon us chashm-e-siyah se kam hain

fitna-pardazi jise kahte hain fan hai kis ka

ek aalam ko tere ishq mein sakta hoga

saf aaina se shaffaf badan hai kis ka

husn se dil to laga ishq ka bimar to ho

phir ye unnab-e-lab o seb-e-zaqan hai kis ka

gulshan-e-husn se behtar koi gulzar nahin

sumbul is tarah ka pur-pech-o-shikan hai kis ka

bagh-e-alam ka har ek gul hai KHuda ki qudrat

baghban kaun hai is ka ye chaman hai kis ka

KHak mein us ko milaun use barbaad karun

jaan kis ki hai meri jaan ye tan hai kis ka

sarw sa qad hai nahin madd-e-nazar ka mere

gul sa ruKH kis ka hai ghuncha sa dahan hai kis ka

kyun na be-saKHta bande hon dil-o-jaan se nisar

qudrat allah ki be-saKHta-pan hai kis ka

aaj hi chhuTe jo chhuTta ye KHaraba kal ho

hum gharibon ko hai kya gham ye watan hai kis ka

yar ko tum se mohabbat nahin ai 'atish'

KHat mein alqab ye phir mushfiq-e-man hai kis ka

(862) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aashna Gosh Se Us Gul Ke SuKHan Hai Kis Ka In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Aashna Gosh Se Us Gul Ke SuKHan Hai Kis Ka is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Aashna Gosh Se Us Gul Ke SuKHan Hai Kis Ka for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Aashna Gosh Se Us Gul Ke SuKHan Hai Kis Ka in PDF.